Snatra Puja (स्नात्र पूजा) - Lyrics in English




Nmorth shida charayopadhayay sarav shadhubhay:

saras santi shudhakar sagaram,suchitram kunratan mahagaram,
bhavik pankaj bhodh diwakaram,
pratidin pranamami jineswaram.

Arth
saras shanth ras ropi amarat ke samundar saman,ati pavitar,gunropiratno ke bhandar,bhavay prani ropi kamlo ko prabhodhit karne se suray saman ese jineswar dev ko mai pratidin namaskar karta hu.

kusumabharan utarine,
padima dhariye vivek,
majjan pithe thapine,
kariye jal abhishek.ll2ll

Arth
(yaha agute par pakshal ang lochana v puja karna)
prabhu ji ke sarir par se bhashi fol,abhusan,adhi utarkar,vivek puravak sanatar pit pe isthapit karke jal abhishek kare.

jin janma samay merushiare,Rayan kanaya kalshehim,
devasurehimnahaviho,
Te dhanajehim dhitosi.ll3ll

Arth
prabhu ke janam ke samay meru shikar par devo or asuro dwara ratan,v suvaran kalsho ke dwara kiya hua vah abhishak jinho ne dhekha vo dhanay he.

Namorath shidhachariayopadhay sarv sadhubhay.

Nirmal jal kalse navrave,vastar amulak anga dharave.
kushmanjali mero adhijinanda.
shidh sarupe angh pakhali, Atam nirmal hoi sukumali,kusumanjali mero adhijinanda.ll4ll

Arth
(nirmal jal se prabhu ko nahalakar amulay vastar se anghluchana kar ke,sh.adhi jin ko kusumanjali rakho.
shidhswarupi bhagvanto ka abhishak karne se aatma nirmal or sukumal banti he.

jin tinhu kalayshidni,
padima gun bhandar,
tasu charne kusumanjali,
bhavik durit harnar.ll7ll
Namorath

Arth
tino.kal mai shid in bhagvanto ki pratima guno ka bhandar he. unke charno mai arpit kusumanjali bhavya pranio ke papo ka nass karne vali he.

Nmorth shida charayopadhayay sarav shadhubhay:

krushnagaruvar dhup dharije,sugandha kar kusumanjali dije.
kusumanjali melo nemijinanda .....shidh....sarupi

Arth
krasnagaru namak uttam doop karke usase kusumanjali ko sugandhit karke sh.nemimath prabhu ke charmo mai kusumanjali chadave.

machakundchamp maalae,kamlai puffa panchvannai.
jagnah nahvan samay,
deva kusumanjali diti.ll5ll

Arth
mogara,champa,malti,kamal adhi panchvaran ke fol jagat ke nath ke janmashibekh ke samai dev chadate he,vah kushamanjali kahlati he.

Nmorth shida charayopadhayay sarav shadhubhay:

rayan sinhasan jin thapije,kusumanjali prabhu charne dije,
kusumanjali mero shantijinanda,shiddha sarupe ang pakhali,
aatam nirmal hoi sukumali, kusumanjali
melo shantijinanda.ll6ll

Arth
ratanjadit shihasan par santi nath prabhu.ke charno mai kushumanjali rakhe

jai prabhu shantinath

JASUPRIMAL BAL DAH DISI,MAHUYAR JANKAR SADD SANGIYA,JIN CHARNOVARI MUKA,SURNAR KUSUMANJALI SHIDDHA.

Arth
jiski sugandh ke bal se daso disao se bhorre akar jankar shabdh ka sangit karte he.esi sugandhi kusumanjali dev or manusia jineswar dev ke charno par chadakar mukti pate he.

Nmorth shida charayopadhayay sarav shadhubhay:

paas jineswar jag jay kari,jal thal phool udak kardhari,kusumanjali melo parasw jinanda. shidh sarupe..........
kusamanjali melo paraswjinanda.

Arth
parasnath prabhu jagat mai jai kari he.unke charno mai jal or isthal ke utam pushp hath mai lekar kusumanjali rakhe.


muke kusumanjali sura,
vir charan sukumal,te kusumanjali bhavikna,

pap hare tran kal.

Arth
sh.veerprabhu ke sukumal charno mai dev kusumanjali chadate he.vah kusumanjali bhaway jivo ke tino kal ke papo ka nass karti he.

Nmorth shida charayopadhayay sarav shadhubhay:

1vividh kusumvar jati gahevi,jin charne panmant gahevi. kusumanjali mero vir jinanda,siddha ......sarupe........
kusumunjali melo virjinenda

Arth

vividh jati ke sresht pusp lekar sh.jineshwar dev ke charno mai namaskar kar ke kusumanjali veerjineshwar ke charno pe rakhe.

navanhkale navanhkale dev danav samuchiya,kusumanjali tahi sathviya,pasarant disi parimal,sugandhiay.jin pay kamlay nivedhiyam vigdharhar jass naam manto,Anant chahuvis jin vashavmalya vishesh,sa kusamanjali suhukaro re,chauviha sangh vusesh,kusamanjali melo chauvish jinanada.

Arath

jineswar dev ke janmabhishek ke samai dev danav ikate hokar daso disao mai sugandh felane wali kusumanjali prabhu ke charan kamlo mai dharte he.js pramatama ka naam ropi mantar vigno ko dur karne wala he.ese anant chobhisi ke tithankaro ke charno mai sarvh indar milkar kusumanjali rakhte he.
vah kusumanjali chaturvig sang ke liye shukh kari ho.

Nmorth shida charayopadhayay sarav shadhubhay:

ananat chaushi jinji juharu,vartaman chouvisi sambharu,
kushamanjali mera chouvish jnanda.
shidh....sarupe.....
kusamanjali.mero chouvis jinanda.

Arth
ab b tak hui ananat chouvisio ke.jineswar ko namaskar karta hu.
or vartaman chouvisi ke tithankaro ko ismaran kar kusumanjali unke charno mai rakh ta hu.

mahavidhehe samprati,viharman jin vish,
bhakati bhare te pujiya karo sangh sujgish.ll15ll

Arth
vartmankal mai mahavedhe ksetar mai bhish tithankar vicharte he.unki mene bhakti puravak puja ki,ve sh.sang ka kalyan kare.

Nmorth shida charayopadhayay sarav shadhubhay:

Apchar mandali geet uchharia,shree subhvir vijjay jaykara,kusumanjali mero sarv jinanda,
shid...sarupe.....
Kusumanjali mero sarv jinanda.

Arth
Apsarao ka samuh prabhu geet gata he.ve sab subh veer prabhu ki jai jai kar karti he.is tarah sarvh jineshvaro ke charno mai kusumanjali rakhe.


Bad mai niman dohe bolkar pradhikshna di jati he.


Sayal jineswar paya nami,kalyanak vidhi tas.
Varnavata suntha thaka,sang ni puge assh.

Arth
Sarv jineswar ke charno mai namaskar karke unke kalyanak ki vidhi mai kahta hu.us vidhi ke varnan or sravan se sakal sang ki aasa purn hoti he.

Samkit gun tane parinamya,vali vratdhar sayam sukh ramya.Vishsthanak vidhiye tap kari,Aisi bhav daya dilma dhari...

Arth
Sh.tithankar prabhu ki aatama chouthe avirithi samaygdrasti gunisthanak ko pakar mahavrat dharan kar sayam shukh mai raman karti he.or vidhi purvak vishisthanak tap karke esi bhav daya dil mai dharan karti he.

Jo hove muj shakti isi,savi jiv karu sasanrassi.
Suchiras dalte tiha bandhta,tirthankar naam nikachita.....ll19ll

Arth
Agar muj mai esi apurav shakti prakat ho to sarv jivo ko vitrag prabhu ke saswat sasan ke rasik banadu.esi pavitar prinaam roop ras dhara bahne se tithankar maam karam ka nikachit bandh karte he.

Saragathi sanyam aachari,vachaman ek dev no bhav kari.
Chyavvi pannar kshetre avatare,madhaya khande pan rajavi kule..

Arth
Is tarah ulashit bhav se sayam ka palan karke beach mai ek dev ka bhav karke vaha se pandrah karambhumi ke kshatra mai madhay khand ke rajkul mai avtarit ho te he.


Patrani khuke gun nilo,
Jem man sarovar hansalo.
Sukh sheiyaye rajani sheshe,
Utarta chaud swapan dekhe.....

Arth
Jistarah mansarovar mai hans shobhit hota he.ushi tarah patrani ki kukshi mai gunvan parmatma ka.jeev utapan hita he.shukh sayya mai soti hui mata askash se utarkar apne mukh mai pravesh karte hui 14 swapan dhekhati he.

Pahle gajwar dito,bijhe vrishab paito,trije keshari sinh,chothe lakshmi abiah.ll22ll
Panchme phool ni mala,chatthe chandra vishala,ravi rato dhwaj mhoto,puran kalash nahi choto.ll23ll
Dashme padma sarovar,agayarme Ratanakar,bhuvan viman ratn agangi,agni sikha dhumvarji.ll24ll
Swapan lahi jai ray ne bashe,raja arth prakashe,putar tithankar tribhuvan namshe sakal manorath palse.ll25ll

Arath
Pahle swapan mai srest hathi,dusara dedipayman belh,tishara kesari sinh,chothi vardatari lakshmi,panchvu fol ki mala,chatta vishal chandar,satava ugata hua lal suria,aatava bada dhwaj,nomva puran kalash,dashva pdham sarovar,igyarva shirsamundar,barhva dev viman,terhva ratno ka dder,or chodhvi dhuese rahit aag dekhati he.
Ye swapan vah raja se jakar kahti he.raja inka arth batate hui kahte he ki he devanupriye! Tumahe putar ratan ki prapti hogi, putar trithankar banega,tin jagat use namaskar karenge or hmare srav manovanchit falit honge.

Avadhi nane avadhi nane,Upana jinraj,
Jagatjas parmanua,vistaria vishavjantu sukhakaar.
Mityatava tara nirbala,
Dharam uday prabhat sundar,
Matapan anandiya,jaagati dharam vidhan,
Jaananti jag tilak samo ho se putar pradhan.

Artah
Mati,sutar,avadhi in tino gyano sahit parmatama utapan hote he.visvh ke pranio ko shukh dene wale unke pramanu sare jagat mai fal jate he.us samai mityatav roopi tare nirbal (nistej) ban jate he.
Dharam ke uday roopi sundar prabhat hone se mata bhi anandit hoti he.dharam ka chintan karti hui jagati he,or sochti he ki jagat mai tilak saman srest putar ratan ki prapti hogi.

Subh lagne jin janamiya,narki maa shukh jayot.
Shukh pamya tribhuvan jana,huo jagat udyot.

Artah
Hath mai deepak lekar ke ye sutar bolte hue prabhu ke age kare.

Jab sab grah uch lagan mai isthith the,is shubh gadi mai tithankar bhagwant ka janam hua.
Narki mai shukh dai prakash fell gaya,tino.bhuvano ke jiv aanandit hue or jagat mai Prakash fail gaya

Sambalo kalsh jin,mahotsav no inha.
Chapankumari dishi,vidishi aave tinha.
Maay sut namiye aanand adhiko dhare,
Ashta samvart vayu thi kacharo hare.....

Artah
Sh.tithankar parmatma ke janam mahotsav ka yah kalash(kavay)suniye.jineswar dev ke janam ke samai disha or vidhisao se 56 dikkumaria aati he.
Pratham mata or putar ko namaskar karke atayant harshit hoti he...or 8 digkumaria savartak vayu se kachara dur karti he.

Vrusthi gandhodake asth kumari kare,
Asth kalsa bhari,asthdarpana dhare.
Asth chamar dhare Aasth pankha lahi,
Char raksha kari
Char dipakgrahi.....ll29ll

Artah
Asth kumaria shudh jal ki vrasti karti he.
Asth kumaria shudh jal se bhare hue kalash lekar aati he.
Asth kumariya dharpan dharti he.
Asth kumaria chamar dharan karti he.
Asth kumaria pankhe se pawan karti he.
Charkumaria raksha potali bhandhati he.
Or
Char kumaria dipak lekar aati he.

Ghar kari kelna may sut laavati,
Karan suchi karama jal kalase navravti.
Kusum puji ne alankar pahravati,
Rakhadi bandhi ne shayan padharavati.ll30ll

Artah
Vaha par kele vraksh ke tin gar bana kar mataji or prabhu ji ko usmai lati he.suchi karam karne ke liye jal kalsho se nahlati he.
Pushp adhi se puja karke alankar pahnati he.
Hath mai raksha potali bandhakar sayan mai padharati he.

Namiye kahe mai tujbaal lilavati,meru ravi chandar lage jivajo jagpati.
Swami gungawati hij gar javati,
Tane same indar sinhasan kapti.

Artah
Mata or putar ko namaskar kahti he-he mata! Jagat ka naath esa aap ka putar jab tak meruparavat suraj or chand rahe, tab tak chiranjivi rahe.is tarah swami ke gun gati hui chapan dhigkumaria aap ne aap ne isthan mai chali jati he.us samai sodhrmendar ka shihasan kmpit hota he.

Jin janmyaji,jin bela janni gare,
Tin vella ji, indar shihasan tarhare.
Dahinottar ji jeta jin janmai yada.
Vishinayakji shoham ishan bahuteda..ll32ll

Artah
Jish samai mata ke gar mai prabhu ka janam hota he.us samai.indar ka shihasan kampit hota he.
Prabhu ka janam meru pravat ki dakshin disa mai adhipati sodharam indar ka or uttar dhisa mai ho to ishannendar ka aasahan kampit hota he.

Tada chinte indar maan ma,kaun avasar aae banyo.
Jin janam avadhi nane jani,harash aanand upanio,
Sughosh aade ghant nade,Ghosana surame kare.
Savvi devi deva janam mahotsave aavajo surgirivare..ll33ll

Artah
Is samai indar maan mai sochate he ki kish karan se mera shihasan chalayman hua.avadhi gyan se jineswar ka janam hua jankar atayant harshit hote he.
Sugosha adhi gant bajwakar dev samudai mai udhgosana karte he ki sab devi devta prabhu ka janam mahotsav mana ne ke liye merupravat par aave.

Em sambhaliji survar kodi aavi malaya.
Janam mohtasavhji karva meru upar chale.
Shoham patiji bahu.pariware aaviya.
Maay jinneji vaandhi.prabhu ne vadhaviya...ll34ll

Artah
Esa sunkar karodo dev ikate hote he.or janam mohatsav karne meru.pravat par jate he.
Sodharm nhi aap ne vishal pariwar ke sath
(manusia lok) mai jakar mata or prabhu ko vanadan kar prabhu.ko vadhate he.

Vadhavi bole ratan kukshi dharni.tuj suth tano.hu shakar shoham naame karsu,janam mohtasav ati gano.
Amm kahi jin pratibimb isthapi panch rope prabhu grahi.
Dev devi nache harash sathe,surgiri aavya vahi.ll35ll

Artah
Prabhu ko vadhakar kahte he-he ratankukshi dharni.mata! Mai shoumendhar namak indar aapke putar ka janam mahotshav bade tath se ksrunga.
Esa kahke prabhu ka pratibimbata ke pass isthapit karke prabhu ko panch roopo se grahan kiya.
(ek roop se prabhu ko grahan karte he,ek se chatar,do se chamar,ek se vajar leker aage chalte he.or harash purvak devi devtao ke sath merupravat aate he.


Meru uparji.panduk van mai chihu dese,
Shila upar ji,shihasan maan ulase.
Tiha besiji,shakrejin khole daria.
Hari tresath ji bija tinha aavi malya.

Artah
Meru pravat par panduk van mai charodisao mai shillaye he.jish disha mai prabhu ka janam hua ho,ushi disha mai isthit shilla par rahe hue shihasan par bethakar indar ulhshit maan se prabhu ko godh mai lete he.
Us samai dusare 63 indar bhi vaha aajate he.

Malya chosat surpati tinha,kare kalas adhijatana,
Maagdhadi jal tirath auosadhi,doopvali bahu bhatina.
Achutpatiye hukum kino saambhlo deva save,
Khirjaladhi ganga neer lavo,
Jat ti jijanam mohotsave.

Arath
Vaha 64 indar jama hue,aath jati ke kalaso mai magadh aadhi tirtho ke ooshadhi mishrit sugandhit jal bharte he.
Vividh jati ke dhoop karte he.
Tab achuttendar aagya farmate he"he sarv devo" suno jineshwar dev ke janam mahotsav ke liye jaldhi kshir samundar or ganga nadi adhi ke pani lao.


Sur sambhaline sanchariaya magadh vardama chaliya.
Padama grah ganga aave,niramal jal kalasha barave.ll38ll
Tirth jal aushadhi leta, vali khir samundre jaata,jal kalsha bahul barave,phool changeri thala lavell39ll
Shihasan chamar dhari,doop dhana rakebi sari.
Shidhante bhakaya jeha,upkaran milave teh.ll40ll
Te deva surgiri aave,prabhu dekhi aanand pave.
Kalshadhik sahu tiha tave,
Bhakte prabhu na gun gave.ll41ll

Arath
Achutendar ki aagya suntehi dev turant chal pade.magadh,vardam,padamdrah,ganga nadi par jakar nirmal jal se kalash bharte he.
Is tarah tirtho ke jal or ausadhi lete hue kshir samundar mai jakar vaha pani ke khubh kalash bharte he.sugandhit puspo ka thal bharkar late he.
Shihasan,chamar,doopdan,rakabi adhi sastar mai kahi gayi sundar samagari late he.
Ve dev samagari ke sath meru parvat par aate heor prabhu ke darshan karke aanand pate he.apne sath laye hue kalash adhi samagri vaha rakhkar bhakati puravak prabhi ke gungan karte he.


Atam bhakti malaya kai deva,keta mittanu jaai,
Nari prerya vali neej kulvat,dharami dharama sakhaee,
Jo ish vyantar bhuvan patina,veimanik sur aave,
Achhutpati hukame dhari kalsha,arihaane navraave,aatam .....ll42ll

Arath
Kai dev aapni bhakti se,koi mitro ke agrah se,koi patani ki prerna se,to koi kul perampara se or kai dharmi devitrata se prabhu ke janam mohatsav mai aate he.jyotish.vyantar,bhavanpati,vemanik ye charo nikay ke dev aate he,or achutendar ki aagaya se jal bhre kalash lekar arihant pramatma ko sanan karate he.

Ad jati kalsha pratyeke,aath aath sahas pramaano,chausath sahas hua abisheke,adisen guna kari jano.
Saat lakh upar ek kodi,kalashano adhikar.
Baasath indar tanaam tinha baasath,lok pal na chaar.aatam...ll43ll

Arath
Aath jati ke kalash hote he or pratyek jati ke 8-8 hajar kalash yani(8x8000)64 hajar kalash hote he.250 abhishek ki sankiya se guna karne par 1karod 60lakh (64000x250) kalasho se parmatma ka abhishek kiya jata he.250 abhishek is prakar he.
Basat indro ke 62
Lokpal ke -4....

chandar ni pankati chyasath chyasath ravi sreni narloko gurusthanak surkero ekaja,samanik no aeko, sohampati ishan patini,indrani na sol,
aasoor ni dash indarani naagni,baar kare kallol..ll44ll

Arth:
Artahmanusia lok ke chandar ki pankati ke 66,surai ki pankati ke 66,guruisthanak devo ka 1,samanik devo ka 1,ishanimdar ki indranio ke solah,asurendar ki indranio ke 10,nagendar ki indranio ke 12...

jyotish vyantar indarni chau chau,parshada tran no aeko,katakpati ang rakshak kero,ek ek suviveko.
parchuran sur no ek chello,e adhinse abhisheko.
ishan indara kahe muj aapo,prabhu ne kshan atireko...ll45ll

Arath
jyotish or vyantar indar ki indranio ke 4,tin parshada ke,katakpati,angrashakdevo ke,or baki bache devo ka..1.1.1.1 is tarah
(62+4+66+66+1+1+16+10+12+4+4+1+1+1+1-250)abhishek hote he.
bad mai ishannendar shodharmendar se kahte he ki abb kuch samai ke liye muje prabhu ji dijiye.


tav tas khole thavi arihane,sohampati man range,vrushabh roop kari shrung jale bhari, navan kare prabhu anghe.
puspadhik pujine chhaante,kari keshar rang role.
mangal devo aarati karta,survar jay jay bole...ll46ll

Artah
ishan indar ke kahne par soodharmendar prabhu ko unki godh mai bithakar prabhu ke samaksh aapni laguta batane ke.liye vrashab roop dharan karke, singh mai jal bharkar us se prabhu ko sanan karate he.bad mai kesar aadi se pooja karke phool chadakar mangal dipak aarti karte he or dev jai jaykar karte he.

bheri bhungal tal bajavat,valiya jin kar dhari. janani ghar mata ne sonpi.eni pare vachan ucchari,
putar tumaro,swami amaro,am sevak aadhar.
panch dhavi rambhadik thapi,prabhu khelavan har...

Arath
tananantar bhagwanth ko hath mai dharan karke bheri bhungal tal adhi varjitar bajate hue mata ke pass unke gar aakar prabhu ko sopkar is tarah kahte he.he mata yeh aap ka putar he,lekin hamare nath he or hum inke sewak he. ye prabhu hamare adhar he.esa kahkar prabhu ko khelane ke liye rambha adhi panch dhay mata isthapit karte he.

batarish kodi kanak kani manak,vastara ni vrusty karave,puran harash kareva kaaran,dweep nandishwar jave.
kariye aatai mahotashav deva,nij nij kalp sadhave,dhiksha keval ne abhilashe,nit nit jin gun gave....ll48ll

Arath
triyankjabhak dev prabhu ji ke gar mai 32 karod sona mohar mani manak or vastaradhik ki vrasti karte he.sarvh dev purn anand manane ke liye nadhishwar dweep jate he.vaha par astanika mahotasav karke apne apne dev lok mai jate he.or dhiksha or kevalgyan ki abhilasha puravak hamesha prabhu ke gun gate he.

tapgaccha ishwar sinh surishwar,kera shishya vadera,satay vijay panyasatane pad,kapoor vijay gambhira,khima vijay savaya.
pandit virvijay tas shishye jin janam mahotsav gaya...ll49ll

Arath
tapgach ke nayak(gachadhipati) sh.sinhsurisawar ji ke badr shisay sh.satay vijayji panayasji hue,gambhir ese karpurvijayji unke shisay hue,unke shisay khimavijay ji,jasvijayji,or unke shisay shubhvijay ji hue.unke shisay pandit sh.virvijay ji maharaj ne parmatma ka ye janam mahotasahv gaya.
arthat pandit sh. virvijayji maharaj ne is sanatar puja ki rachana ki

jai jai shantinath
jai jai shantinath


utakrashta ek sowne sitar,samprati vichare veesh.
atit anagat kale ananta,
tithankar jagdish.
sadharan ek kalash je gave,shree shubhvir savvai,managal lila sukhabar pave,ghar ghar harash badhai...ll50ll

Arath
utkarast se utakrast 170tithankar vicharthe he,vartaman mai 20 tithankar (mahavidhey) mai vicharan kar rahe he.bhuth kal mai aananat tithankar ho chuke he.bhavisia kal mai anant tithankar honge.samanay roop se jo ye kavay gata he,vah or krta bhi virvijay ji maharaj aanand managal se yukt bahut shukh prapt karte he or ghar ghar mai harash ki badhai prapt hoti he.


Comments